Parveen Shakir

Bad Mudat Usy Dekha Logo

Bad Mudat Usy Dekha Logo…
Wo Zara Bhi Naheyn Badla Logo…
Khush Nah Tha Mujh Se Bicharr Kar Woh Bhi…
Us Ke Chehry Par Likha Tha Logo…
Us Ki Ankheyn Bhi Kahy Deti Theyn…
Rat Bhar Woh Bhi Na Soya Logo…
Ajnabi Ban Kar Jo Guzra He Abhi…
Tha Kisi Waqt Mein Apna Logo…
Dost To Kheyr Koi Kis Ka He…
Us Ne Dushman Bhi Na Smjha Logo…
Rat Woh Dard Mere Dil Mein Utha…
Subah Tak Chain Na Aya Logo…
Peyas Sehraon Ki Phir Teiz Hui…
Abr Phir Tut Ke Barsa Logo…


****




Be Faiz Rafaqat Mein Samar Kis Ke Liye Tha

Be Faiz Rafaqat Mein Samar Kis Ke Liye Tha…
Jab Dhup Thi Qismat To Shajar Kis Ke Liye Tha…
Pardeys Mein Sona Tha To Shat Kis Liye Dali…
Baher Hi Niklna Tha To Ghar Kis Ke Liye Tha…
Jis Khak Se Phuta He Usi Khak Ki Khushbu…
Pehchan Na Paya To Hunar Kis Ke Liye Tha…
Ae Madr-E-Giti Teri Hairat Bhi Bja He…
Tere Hi Kam Na Aeya To Sar Kis Ke Liye Tha…
Yun Sham Ki Dehshat Mein Sar-E-Dasht Iradah…
Rukna Tha To Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha…


****




Ku-B-Ku Phail Gai Bat Shnasai Ki

Ku-B-Ku Phail Gai Bat Shnasai Ki…
Us Ne Khushbu Ki Tarah Meri Pazirai Ki…
Kaise Keeh Dun Keh Mujhe Chorr Diya He Us Ne…
Bat To Sach He Magar Bat He Ruswai Ki…
Woh Kaheyn Bhi Gaya Lauta To Mere Pas Aeya…
Bas Yahi Bat He Achi Mere Harjai Ki…
Tera Pehlu Tere Dil Ki Tarah Abad Rahe…
Tujh Peh Guzre Nah Qayamat Shab-E-Tanhai Ki…
Us Ne Jalti Hui Peshani Peh Jo Hath Rakha…
Ruh Tak Aa Gai Taseer Masihai Ki…
Ab Bhi Barsat Ki Raton Mein Badan Tutata Hy…
Jag Uthti Hyn Ajab Khwahsheyn Angrhai Ki…


****




Hum Ne Hi Lautne Ka Iradah Naheyn Kiya

Hum Ne Hi Lautne Ka Iradah Naheyn Kiya…
Us Ne Bhi Bhul Jane Ka Wadah Naheyn Kiya…
Dukh Orhte Naheyn Jashan-E-Tarab Mein Hum…
Malbus-E-Dil Ko Tan Ka Lebada Naheyn Kiya…
Jo Gham Mila He Bojh Uthaeya He Us Ka Khud…
Sar Zer-E-Bar-E-Saghar-O-Badah Naheyn Kiya…
Kar-E-Jahan Humeyn Bhi Bohat Thy Safar Ki Sham…
Us Ne Bhi Iltfat Zeyadah Naheyn Kiya…
Amad Peh Teri Itr-O-Charagh-O-Subu Na Hon…
Itna Bhi Bud-O-Bash Ko Sada Naheyn Kiya…


****




Khule Gi Us Nazar Peh Chashm-E-Tar Ahesta Ahesta

Khule Gi Us Nazar Peh Chashm-E-Tar Ahesta Ahesta…
Kiya Jata He Pani Mein Safar Ahesta Ahesta…
Koi Zanjer Phir Wapes Waheyn Par Le Ke Ati He…
Kathan Ho Rah To Chutata He Ghar Ahesta Ahesta…
Badal Dena He Rasta Ya Kaheyn Par Beth Jana He…
Keh Thakta Ja Raha He Hamsafar Ahesta Ahesta…
Khalesh Ke Sath Is Dil Se Nah Meri Jan Nikal Jaye…
Khenche Ter-E-Shanasai Magar Ahesta Ahesta…
Hawa Se Sar-Kashi Mein Phul Ka Apna Zeyan Dekha…
So Jhukta Ja Raha He Ab Yeh Sar Ahesta Ahesta…

****




Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Kheyal Bhi

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Kheyal Bhi…
Dil Ko Khushi K Sath Sath Hota Raha Malal Bhi…
Bat Woh Adhi Rat Ki Rat Woh Pure Chand Ki…
Chand Bhi Aen Cheet Ka Is Par Tera Jamal Bhi…
Sab Se Nazar Bacha K Woh Mujh Ko Kuch Aise Dekhta…
Aek Dafaa To Ruk Gai Gardesh Mah-O-Sal Bhi…
Dil To Chamak Sakey Ga Kya Pher Bhi Tarsh Keh Dekh Leyn…
Sheshah Geran-E-Shehr Ke Hath Ka Yeh Kamal Bhi…
Us Ko Nah Pa Saky The Jab Dil Ka Ajeb Hal Tha…
Ab Jo Palt Ke Dekhy Bat Thi Kuch Mhal Bhi…
Meri Talb Tha Ik Shaks Woh Jo Naheyn Mila To Phir…
Hath Dua Se Yun Gira Bhul Geya Sawal Bhi…
Us Ke Hi Bazuon Mein Or Us Ko Hi Sochte Rahe…
Jism Ki Khwaheshon Peh The Ruh Ke Or Jal Bhi…


****




Dhanak Dhanak Meri Poron Ke Khawab Kar De Ga

Dhanak Dhanak Meri Poron Ke Khawab Kar De Ga…
Woh Lams Mere Badan Ko Gulab Kar De Ga…
Qaba-E-Jisam K Har Taar Se Guzarta Howa…
Kiran Ka Pyar Mujhe Aftab Kar De Ga…
Main Such Kahun Gi Magar Phir Bhi Har Jaun Gi…
Woh Jhut Bole Ga Or La Jawab Kar De Ga…
Ana Parst He Itna Keh Bat Se Pehle…
Woh Uth K Band Meri Har Kitab Kar De Ga…
Meri Tarha Se Koi He Jo Zindagi Apni…
Tumhari Yad K Nam Intasab Kar De Ga…

****





Chand Ke Sath Meri Bat Nah Thi Pehli Si

 Chand Ke Sath Meri Bat Nah Thi Pehli Si…
Rat Ati Thi Magar Rat Nah Thi Pehli Si…
Hum Teri Yad Se Kal Shab Bhi Mile The Lekin…
Yeh Mulaqat Mulaqat Nah Thi Pehli Si…
Ankh Kiun Lot Gai Khof Se Sehraon Ko…
 Kiun Keh Is Bar To Barsat Nah Thi Pehli Si…
Ab Ke Kuch Or Tarah Ki Thi Udasi In Mein…
Chand Taron Ki Yeh Barat Nah Thi Pehli Si…
Ishq Ne Pal Mein Badal Di Meri Sari Duniya…
 Main Ne Dekha Keh Meri Zat Nah Thi Pehli Si…


****
Parveen Shakir Parveen Shakir Reviewed by Muhammad Adnan on 6:51 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog