Faiz Ahmad Faiz

Bahaar ai to jese yak-bar

Bahaar ai to jese yak-bar….
Lot aye hyn phir adm se….
Woh khwab sare shabab sare….
Jo tere honton pe mar-mite thy….
Jo mit ke hr bar phir jiye thy….
Nikhr gye hyn gulab sare….
Jo teri yadon se mushkbu hain….
Jo tere ushaq ka lahu hyn….
Ubl parrhe hyn azab sare….
Malal-e-ahwal-e-dostan bhi….
Khumar-aghosh-mah-vashan bhi….
Ghubar khatir ke bad sare….
Tere hamare….
Sawal sare jawab sare….
Bahaar ai to khul gaye hyn….
Naye siry se hisab sare….

****

Hum pr tumhari chah ka ilzam hi to he

Hum pr tumhari chah ka ilzam hi to he….
Dushnam to naheyn he yeh ikraam hi to he….
Karte hyn jis pe taan koi jurm to naheyn….
Shauq-e-fazul o ulfat-e-nakam hi to he….
Dil mudayi ke harf-e-malamat se shad he….
Ae jaan-e-jan yeh harf tera nam hi to he….
Dil naUmed to naheyn nakam hi to he….
Lmbi he gham ki sham magar sham hi to he….
Dast-e-falak mein gardish-e-taqder to naheyn….
Dast-e-falak mein gardish-e-ayam hi to he….
Akhr to ik roz kare gi nazar wafa….
Woh yar-e-khush-khisaal sar-e-baam hi to he….
Bhegi he rat faiz ghazal ibtda karo….
Waqt-e-sarod dard ka hangam hi to he….

****

Phir haref-e-bahar ho bethe

Phir haref-e-bahar ho bethe….
Jane kis kis ko aj ro bethe….
Thi magar itni rayegan bhi na thi….
Aj kuch zindgi se kho bethe….
Tere dr tak pohanch ke lot aye….
Ishq ki abru dubo bethe….
Sari duniya se dur ho jaye….
Jo zara tere pas ho bethe….
Na gayi teri berukhi na gayi….
Hum teri arzu bhi kho bethe….
Faiz hota rahe jo hona he….
Sher likhte raha karo bethe….

****

Ap ki yad ati rahi rat bhar

Ap ki yad ati rahi rat bhar….
Chandni dil dukhati rahi rat bhar….
Gah jalti hui gah bujhti hui….
Sham-e-gham jhilmilati rahi rat bhar….
Koi khushbu badalti rahi pairahan….
Koi tasver gati rahi rat bhar….
Phir saba saya-e-shakh-e-gul ke talay….
Koi qisa sunati rahi rat bhar….
Jo na aya usay koi zanjer-e-dar….
Har sada par bulati rahi rat bhar….
Ik umed se dil behelta raha….
Ik tamana satati rahi rat bhar….

****


Mujh Se Pehli Si Muhabat Mere Mehbub Nah Mang

Mujh Se Pehli Si Muhabat Mere Mehbub Nah Mang…
Maine Samjha Tha Keh Tu He To Darakhshan He Hayat…
Tera Gham He To Gham-E-Dehar Ka Jhagrra Kya He…
Teri Surat Se He Alam Mein Baharon Ko Sabat…
Teri Ankhon Ke Siwa Duniya Mein Rakhkha Kya He…
Tu Jo Mil Jaye To Taqdir Nigun Ho Jaye…
Yun Nah Tha Maine Faqat Chaha Tha Yun Ho Jaye…
Or Bhi Dukh He Zamane Mein Muhabat Ke Siwa…
Rahateyn Or Bhi Hyn Wasl Ki Rahat Ke Siwa…
Anginat Sadiyon Ke Ke Tareq Bahemanah Talism…
Resham-O-Atlas-O-Kamkhwab Mein Bunwaye Hue…
Ja-B-Ja Bikte Hue Kucha-O-Bazar Mein Jism…
Khak Mein Lutharre Hue Khun Mein Nehaye Hue…
Jism Nikle Hue Amraz Ke Tanuron Se…
Pep Behti Hui Galte Hue Nasuron Se…
Lot Jati He Udhar Ko Bhi Nazar Kya Kejie…
Ab Bhi Dilkash He Tera Husan Magar Kya Kejie???
Or Bhi Dukh He Zamane Mein Muhabat Ke Siwa…
Rahatein Or Bhi Hyn Wasl Ki Rahat Ke Siwa…
Mujh Se Pehli Si Muhabat Mere Mehbub Nah Mang…


****
Faiz Ahmad Faiz Faiz Ahmad Faiz Reviewed by Muhammad Adnan on 5:54 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog