Ghalib

Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahe Beghyr

Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahe Beghyr…
Janega Ab Bhi Tu Nah Mera Ghar Kahe Beghyr…
Kahte Hyn Jab Rahi Nah Mujhe Taqat-E-Sukhan…
Janun Kisi K Dil Ki Main Kyunkar Kahe Beghyr…
Kam Us Se A Parha He Keh Jisaka Jahan Mein…
Leway Nah Koi Nam Sitamagar Kahe Beghyr…
Ji Mein Hi Kuch Naheyn He Hamare Wagarna Hum…
Sarh Jaye Ya Rahe Nah Rahen Par Kahe Beghyr…
Chorunga Main Nah Us But-E-Kafir Ka Pujna…
Chore Nah Khalq Go Mujhe Kafir Kahe Beghyr…
Maqsad He Naz-O-Ghamza Wale Guftagu Mein Kam…
Chalta Naheyn He Dashna-O-Khanjar Kahe Beghyr…
Har Chand Ho Mushahida-E-Haq Ki Guftagu…
Banti Naheyn He Bada-O-Saghar Kahe Beghyr…
Behra Hun Main To Chahiye Duna Ho Iltefat…
Sunta Naheyn Hun Bat Muqarar Kahe Beghyr…
Ghalib Nah Kar Huzur Mein Tu Bar-Bar Arz…
Zahir He Tera Hal Sab Un Par Kahe Beghyr…


****






Dayem Parha Hua Tere Dar Par Naheyn Hun Main

Dayem Parha Hua Tere Dar Par Naheyn Hun Main…
Khak Aisi Zindagi Peh Keh Pathar Naheyn Hun Main…
Keun Gardish-E-Mudam Se Ghabra Nah Jaye Dil…
Insan Hun Pyala-O-Saghar Naheyn Hun Main…
Ya Rab Zamana Mujh Ko Mitata He Kis Liye…
Lauh-E-Jahan Peh Harf-E-Mukarar Naheyn Hun Main…
Had Chahiye Saza Mein Uqubat K Waste…
Akhir Gunahgar Hun Kafir Naheyn Hun Main…
Kis Waste Aziz Naheyn Jante Mujhe…
Lal-O-Zumurud-O-Zar-O-Gohar Naheyn Hun Main…
Rakhte Ho Tum Qadam Meri Ankhon Se Keun Daregh…
Rutbe Mein Mahr-O-Mah Se Kamtar Naheyn Hun Main…
Karte Ho Mujhko Mana-E-Qadambos Kis Liye…
Kya Asman K Bhi Barabar Naheyn Hun Main…
Ghalib Wazifakhwar Ho Do Shah Ko Dua…
Woh Din Gaye Keh Kahte The Nokar Naheyn Hun Main…


****







Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum K Too Kya Hai

Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum K Too Kya Hai…
Tumheen Kaho K Yeh Andaaz-E-Guftgoo Kya Hai?
Na Sho’le Mein Yeh Karishma Na Barq Mein Ye Ada…
Koee Bataao K Woh Shokh-E-Tund Khoo Kya Hai?
Yeh Rashk Hai Ki Wo Hota Hai Ham Sukhan Tumse…
Wagarna Khauf-E-Bad_Aamozi-E-Adoo Kya Hai?
Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan…
Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafoo Kya Hai?
Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhee Jal Gaya Hoga…
Kuredate Ho Jo Ab Raakh Justjoo Kya Hai?
Ragon Mein Daurte Phirne Ke Ham Naheen Qaayal…
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai?
Woh Cheez Jiske Liye Hamko Ho Bahisht Azeez…
Siwaay Baada-E-Gul_Faam-E-Mushkaboo Kya Hai?
Piyoon Sharaab Agar Khum Bhee Dekh Loon Do Chaar…
Yeh Sheesha-O-Qadah-O-Kooza-O-Suboo Kya Hai?
Rahee Na Taaqat-E-Guftaar Aur Agar Ho Bhee…
To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai?
Bana Hai Shaah Ka Musaahib Phire Hai Itraata…
Wagarna Shahar Mein Ghalib Kee Aabroo Kya Hai?


****







Aaiinaa Kyuun Na Duun K Tamaashaa Kahen Jise


Aaiinaa Kyuun Na Duun K Tamaashaa Kahen Jise…
Aisaa Kahaan Se Laauun K Tujhsaa Kahen Jise…
Hasrat Ne Laa Rakhaa Terii Bazm-E-Khayaal Men…
Guldastaa-E-Nigaah Suvedaa Kahe.N Jise…
Phuunkaa Hai Kisane Gosh E Muhabbat Men Ai Khudaa…
Afasuun-E-Intazaar E Tamannaa Kahen Jise…
Sar Par Hujuum-E-Dard-E-Ghariibii Se Daliye…
Vo Ek Musht-E-Khaak K Seharaa Kahen Jise…
Hai Chashm-E-Tar Men Hasarat-E-Diidaar Se Nihaan…
Shauq-E-Inaan Gusekhtaa Dariyaa Kahen Jise…
Darakaar Hai Shiguftan-E-Gul Haaye Aish Ko…
Subh-E-Bahaar Pa.Nbaa-E-Miinaa Kahen Jise…
Ghalib Buraa Na Maan Jo Vaaiz Buraa Kahe…
Aisaa Bhii Koii Hai K Sab Achchhaa Kahen Jise…
Ghalib Ghalib Reviewed by Muhammad Adnan on 5:26 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog