Ahmad Faraz

Tere Hote Hue Mahfil Mein Jalate Hyn Charagh

Tere Hote Hue Mehfil Mein Jalate Hyn Charagh….
Log Kya Sadah Hyn Suraj Ko Dikhate Hyn Charagh….
Apni Mahrumi Ke Ehsas Se Sharminda Hyn….
Khud Nahyn Rakhte To Oroon Ke Bujhate Hyn Charagh….
Basteyan Dur Hui Jati Hyn Rafta Rafta….
Dam-Ba-Dam Ankhon Se Chupte Chale Jate Hyn Charagh….
Kya Ḳhbar Un Ko Ki Daman Bhi Bharrhak Uthte Hyn….
Jo Zamnae Ki Hawaon Se Bachate Hyn Charagh….
Go Seyah-Baḳht Hyn Hum Log, Pe Roshan He Zamir….
Khud Andhere Mein Hyn Duniya Ko Dikhate Hyn Charagh….
Basteyan Chand Sitaron Ki Basane Walo….
Kurra-E-Arz Pe Bujhte Chale Jate Hyn Charagh….
Aise Bedard Hue Hum Bhi Keh Ab Gulshan Par….
Barq Girti He To Zindan Myn Jalate Hyn Charagh….
Aisi Tarikeyan Ankhon Mein Basi Hyn Keh Faraz….
Rat To Rat He Hum Din Ko Jalate Hyn Charagh….

****

Is Se Pehle Keh Bewafa Ho Jayen

Is Se Pehle Keh Bewafa Ho Jayen....
Keun Na Ey Dost Hum Juda Ho Jayen….
Tu Bhi Heere Se Ban Geya Pathar….
Hum Bhi Kal Jane Kya Se Kya Ho Jayen….
Tu Keh Yakta Tha Beshumar Hua….
Hum Bhi Tutyn To Ja-Ba-Ja Ho Jayen….
Hum Bhi Majburiyon Ka Uzr Karen….
Phir Kahin Or Mubtila Ho Jayen….
Hum Agr Manzilyn Na Ban Payen….
Manzilon Tak Ka Rasta Ho Jayen….
Dyr Se Soch Mein Hyn Parwane….
Rakh Ho Jayen Ya Hawa Ho Jayen….
Ishq Bhi Khyl Hai Nasebon Ka….
Khak Ho Jayen Kemiya Ho Jayen….
Ab Ke Gr Tu Mily Toh Hum Tujh Se….
Aise Liptyn Teri Qabaa Ho Jayen….
Bandagi Hum Ne Chorrh Di Hy ‘Faraz….
Kya Karyn Log Jab Khuda Ho Jayen….

****

Rog Aise Bhi Gham-E-Yar Se Lag Jate Hyn

Rog Aise Bhi Gham-E-Yar Se Lag Jate Hyn….
Dr Se Uthte Hyn To Dewar Se Lag Jate Hyn….
Ishq Aghaz Myn Halki C Ḳhalish Rakhta He….
Bad Myn Senkrrhon Azar Se Lag Jate Hyn….
Pehle Pehle Hwas Ik Adh Dukan Kholti He….
Phir To Bazar Ke Bazar Se Lag Jate Hyn….
Bebasi Bhi Kabhi Qurbat Ka Sabab Banti He….
Ro Na Paeyn To Gale Yar Se Lag Jate Hyn….
Katranyn Gham Ki Jo Galeyon Mein Urrhi Phirti Hyn….
Ghar Mein Le Ao To Ambhar Se Lag Jate Hyn….
Dagh Daman Ke Hon Dil Ke Hon Ke Chehre Ke Faraz….
Kuch Nishan Umr Ki Raftar Se Lag Jate Hyn….

****

Keya Aise Kam-Suḳhan Se Koi Guftagu Kare

Keya Aise Kam-Suḳhan Se Koi Guftagu Kare….
Jo Mustaqil Sukut Se Dil Ko Lahu Kare….
Ab To Hamyn Bhi Tark-E-Marasim Ka Dukh Naheyn….
Par Dil Ye Chahta He Keh Aghaz Tu Kare….
Tere Bagheyr Bhi To Ghanimat He Zindagi….
Khud Ko Ganva Ke Kon Teri Justuju Kare….
Ab To Ye Aarzu He Keh Wo Zaḳhm Khaeye….
Aa-Zindagi Ye Dil Na Koi Arzu Kare….
Tujh Ko Bhula Ke Dil He Wo Sharminda-E-Nazar….
Ab Koi Hadsa Hi Tere Ru-Ba-Ru Kare….
Chup-Chap Apni Aag Mein Jalte Raho Faraz….
Duniya To Arz-E-Hal Se Be-Abru Kare….

****

Kisi Janib Se Bhi Parcham Na Lahu Ka Nikla

Kisi Janib Se Bhi Parcham Na Lahu Ka Nikla….
Ab Ke Mosam Mein Bhi Aalam Vahi Hu Ka Nikla….
Dast-E-Qatil Se Kuch Umid-E-Shafa Tha Lekin….
Nok-E-Ḳhnjar Se Bhi Kanta Na Gulu Ka Nikla….
Ishq Ilzam Lagata Tha Hwas Par Kya Kya….
Ye Munafiq Bhi Tere Vasl Ka Bhuka Nikla….
Gi Naheyn Chahta Me-Ḳhane Ko Jayen Jab Se….
Sheḳh Bhi Bazm-Nashyen Ahl-E-Subu Ka Nikla….
Dil Ko Hum Chorrh Ke Duniya Ki Taraf Aye The….
Ye Shabistan Bhi Isi Ghaliya-Mu Ka Nikla….
Hum Abs Sozan-O-Rishta Liye Galiyon Mein Phire….
Kisi Dil Mein Na Koi Kam Rafu Ka Nikla….
Yar-E-Be-Faiz Se Kyun Hum Ko Tawaqo Thi Faraz….
Jo Na Apna Na Humara Na Adu Ka Nikla….

****

Barson Ke Bad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa

Barson Ke Bad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa….
Ab Zehan Mein Naheyn He, Par Nam Tha Bhla Sa...
Abro Khinche Khinche Se, Ankheyn Jhuki Jhuki Si….
Bateyn Ruki Ruki Si, Lehja Thka Thka Sa…..
Alfaz The Keh Jugnu Awaz Ke Safar Mein….
Ban Jaye Jngalon Mein Jis Trah Rasta Sa….
Khwabon Mein Khwab Uske, Yadon Mein Yad Uski….
Nendon Mein Ghul Gya Ho Jaise Keh Rat-Jaga Sa….
Pehle Bhi Log Aye Kitne Hi Zindgi Mein….
Woh Hr Trah Se Lekn Oroon Se Tha Juda Sa….
Kuch Ye Keh Mudaton Se Hum Bhi Naheyn The Roye….
Kuch Zehr Mein Ghula Tha Ahbab Ka Dilasa….
Phir Yun Hua Keh Sawn Ankhon Mein A Base The….
Phir Yun Hua Keh Jaise Dil Bhi Tha Abla Sa….
Ab Sach Kaheyn To Yaro Hum Ko Khabar Naheyn Thi….
Ban Jaye Ga Qayamat Ek Waqiya Zara Sa….
Tewar The Berukhi Ke, Andaz Dosti Ka….
Woh Ajnbi Tha Lekn Lagta Tha Ashna Sa….
Hum Dasht The Keh Dariya, Hum Zehar The Ki Amrt….
Nahaq The Zam Hum Ko, Jab Woh Naheyn Tha Pyasa….
Humne Bhi Usko Dekha Kal Sham Itefaqan….
Apna Bhi Hal He Ab Logo Faraz Ka Sa….

****

Har Ik Bat Na Keyon Zehar Si Humari Lage

Har Ik Bat Na Keyon Zehar Si Humari Lage….
Keh Hum Ko Dast-E Zamana Se Zakhm Kari Lage….
Udaseyan Hon Musalsal To Dil Naheyn Rota….
Kabhi Kabhi Ho To Ye Kaifiyat Bhi Pyari Lage….
Bazaher Ik Hi Shab He Firaq-E Yar Magar….
Koi Guzarne Baithe To Umar Sari Lage….
Ilaj Is Dil-E Dard-Ashna Ka Kya Kijiye….
Keh Ter Ban Ke Jaise Harf-E Ghumgusari Lage….
Humare Pas Bhi Baitho Bas Itna Chahte Hyn….
Humare Sath Tabiyat Agr Tumhari Lage….
Faraz Tere Ghum Ka Khyal He Warna….
Ye Kya Zaror Woh Sorat Sabhi Ko Pyari Lage….

****

Zindgi Se Yahi Gela He Mujhe

Zindgi Se Yahi Gela He Mujhe….
Tu Baht Dyr Se Mela He Mujhe….
Tu Mohabat Se Koi Chal To Chl….
Har Jane Ka Hosla He Mujhe….
Dil Dhadakta Naheyn Tapakta He….
Kal Jo Khwahish Thi Abla He Mujhe….
Humsafar Chaheye Hjum Naheyn….
Ik Musafir Bhi Qafila He Mujhe….
Kohkan Ho Keh Qais Ho Keh Faraz….
Sab Mein Ek Shakhs Hi Mila Hai Mujhe….

****

Ab Or Kya Kisi Se Marasim Badhayen Hum

Ab Or Kya Kisi Se Marasim Badhayen Hum….
Ye Bhi Boht He Tujh Ko Agar Bhul Jaye Hum….
Sehra-E Zindgi Mein Koi Dusra Na Tha….
Sunte Rahe Hyn Ap Hi Apni Sadayen Hum….
Is Zindgi Mein Itni Faraght Kise Naseb….
Itna Na Yad A Keh Tujhe Bhul Jayen Hum….
Tu Itni Dil-Zada To Na Thi Eh Shab-E Firaq….
Aa Tere Raste Mein Sitare Lutayen Hum….
Woh Log Ab Kahan Hyn Jo Kehte The Kal Faraz….
Haye Haye Khuda-Na-Karda Tujhe Rulayen Hum….

****

Kahaneyan Na Suno As Pas Logon Ki

Kahaneyan Na Suno As Pas Logon Ki….
Keh Mera Sheher He Basti Udas Logon Ki….
Na Koi Samt Na Manzil So Qafila Kaisa….
Rawan He Bher Faqat Be-Qayas Logon Ki….
Kisi Se Puch Hi Lete Wafa Ke Bab Mein Hum….
Kami Naheyn Thi Zamana-Shanas Logon Ki….
Muhabaton Ka Safar Khatm To Nahin Hota….
Baja K Dosti Ayi Na Ras Logon Ki….
Hameyn Bhi Apne Kayi Dost Yad Ate Heyn….
Kabhi Jo Bat Chale Na-Sipas Logon Ki….
Karo Na Apni Bala-Noshion Ke Yun Charchay….
Keh Is Se Or Bhi Barhti He Pyas Logon Ki….
Main Any Wale Zamanon Se Dar Raha Hun Faraz….
Keh Main Ne Dekhi Heyn Ankhen Udas Logon Ki….



Ahmad Faraz Ahmad Faraz Reviewed by Muhammad Adnan on 5:29 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog