Wasi Shah

Kash Main Tere Haseyn Hath Ka Kangan Hota

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota…
Tu Barre Peyar Se Chao Se Barre Man Ke Sath…
Apni Nazuk Si Kalai Mein Charrhati Mujh Ko…
Or Be Tabi Se Furqat Ke Khizan Lamhon Mein…
Tu Kisi Soch Mein Dubi Jo Ghumati Mujh Ko…
Main Tere Hath Ki Khushbu Se Mehak Sa Jata…
Jab Kabhi Mud Mein A Kar Mujhe Chuma Karti…
Tere Honton Ki Main Hadat Se Dehak Sa Jata…
Rat Ko Jab Bhi Tu Nendon Ke Safar Par Jati…
Mar Mareyn Hath Ka Takeya Banaya Karti…
Main Tere Kan Se Lag Kar Kai Bateyn Karta…
Teri Zulfon Ko Tere Gal Ko Chuma Karta…
Jab Bhi Tu Band-E-Qaba Kholne Lagti Janan…
Apni Ankhon Ko Tere Husan Se Khaera Karta…
Mujh Ko Be Tab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha…
Main Teri Ruh Ke Gulshan Mein Mehakta Rehta…
Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta Rehta…
Kuch Naheyn To Yahi Be Nam Sa Bhandhan Hota…
Kash Main Tere Haseyn Hath Ka Kanghan Hota



****





Haye Woh Lamha Keh Jab Tujh Se Shanasayi Huwi

Haye Woh Lamha Keh Jab Tujh Se Shanasayi Huwi…
Phir Jo Honi Thi Meri Jan Woh Ruswayi Huwi…
Apni Nakam Muhabat Ka Nah Yun Charcha Karo…
Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Pazirayi Huwi…
Phir Zamanay Mein Kisi Ne Usy Dekha Nah Suna…
Tere Darbar Mein Jis Shakhs Ki Shanwayi Huwi…
Jab Teri Yad Ko Koi Bhi Thikana Nah Mile…
Meri Banhon Mein Chali Ati He Ghabrayi Huwi…


****





Tere Furaq Keh Lamhe Shumar Karte Hue

Tere Furaq Keh Lamhe Shumar Karte Hue…
Bikhr Gae Hyn Tera Intazar Karte Hue…
Tumhain Khabr Hi Naheyn He Keh Koi Tut Gya…
Muhabaton Ko Bohat Paedar Karte Hue…
Main Muskurata Huwa Ainy Mein Ubhrun Ga…
Woh Ro Parre Gi Achank Singhar Karte Hue…
Woh Keh Rahi Thi Keh Sumndar Naheyn Hyn Ankhain Hyn…
Main Un Mein Dub Gya Aitebar Karte Hue…
Bhanwar Jo Mujh Mein Parre Hyn Woh Main Hi Janta Hun…
Tumhare Hijr Ke Darya Ko Par Karte Hue…


****




Kitni Zulfeyn Khuliyn Kitne Anchal Urre Chand Ko Kya Khabar

Kitni Zulfeyn Khuliyn Kitne Anchal Urre Chand Ko Kya Khabar…
Kitna Matam Hua Kitne Ansu Bahe Chand Ko Kya Khabar…
Mudaton Us Ki Khwahish Se Chalte Rahe Hath Ata Naheyn…
Chah Mein Us Ki Pairon Mein Hyn Able Chand Ko Kya Khabar…
Woh Jo Nikla Naheyn To Bhatakte Rahe Hyn Musafir Kai…
Or Lut’te Rahe Hyn Kai Kafile Chand Ko Kya Khabar…
Who To Apni Hi Nagri Mein Madhosh He Kab Se Khamosh He…
Kon Raja Bana Kitne Seyad Lute Chand Ko Kya Khabar…
Is Ko Dawa Boht Mithe-Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho…
Is Ki Kirnon Se Kitne Hi Ghar Jal Gae Chand Ko Kya Khabar…


****




Main Kehta Reh Geya Waisa Naheyn Hun

Main Kehta Reh Geya Waisa Naheyn Hun…
Samajhta He Mujhe Jaisa Naheyn Hun…
Meri To Guftugu Hi Ruh Se He…
Main Tere Jism Ka Peyasa Naheyn Hun…
Nah Mani Dil Ne Chilata Raha Main…
Naheyn Hun Yar Main Aisa Naheyn Hun…
Usy Ik Bar Phir Batla De Koi…
Wasi Main Lot Kar Ata Naheyn Hun…

****




Tum Meri Ankh K Taiwar Na Bhula Pao Gay

Tum Meri Ankh K Taiwar Na Bhula Pao Gay…
An-Kahi Baat Ko Samjho Ga Tu Yaad Aaon Ga.
Hum Ne Khushion Ki Tarah Gham Bhi Ikathay Daikhy
Safha E Zeest Ko Palto Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Isi Andaz Mein Hoty Thay Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likho Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Sard Raaton K Mehakty Howay Sannaton Mein
Jab Kisi Phool Ko Chomo Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Ab Tery Ashk Mein Ankhon Se Churra Laita Hon
Hath Se Khud Inhain Poncho Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Shaal Pehnaye Ga Ab Kaun December Mein Tumhain
Baarishon Mein Kabi Bheego Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Aj Tum Mehfil E Yaraan Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabi Toot K Bikhro Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Haadsy Aein Gay Jeewan Mein Tu Tum Ho K Nidhaal
Kisi Deewar Ko Thamo Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Is Mein Shamil Hai Mery Bakht Ki Siyaahi Bhi
Tum Siah Rang Jo Pehno Gay Tu Yaad Aaon Ga.


****
Wasi Shah Wasi Shah Reviewed by Muhammad Adnan on 7:19 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog