Allama Iqbal

La Phir Ik Bar Wohi Bada-O-Jam Ae Saqi

La Phir Ik Bar Wohi Bada-O-Jam Ae Saqi…
Hath A Jaey Muje Mera Muqam Ae Saqi…
Teen So Sal Se Hyn Hind Ke Mekhane Band…
Ab Munasib He Tera Faiz Ho Am Ae Saqi…
Meri Menaey Ghazal Mein Thi Zara Si Baqi…
Sheikh Kehta Keh He Ye Bi Haram Ey Saqi…
Sher Mardon Se Huwa Besha-E Tahqeq Tehi…
Reh Gaye Sufi-O-Mula Ke Ghulam Ae Saqi…
Ishq Ki Tegh-E-Jigrdar Urha Li Kis Ne…
Ilam Ke Hath Mein Khali He Neyam Ae Saqi…
Sena Roshan Ho To He Soz-E-Sukhan Ain-E-Hayat…
Ho Na Roshan To Sukhan Marg-E-Dawam Ae Saqi…
Tu Meri Rat Ko Mehtab Se Mehrum Nah Rakh…
Tere Pemane Mein He Mah-S-Tmam Ae Saqi…



****


Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hun

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hun…
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun…
Sitam Ho Ke Ho Waada Be Hajabi…
Koi Bat Sabar Azma Chahta Hun…
Ye Janat Mubarak Rahe Zahidon Ko…
Keh Main Ap Ka Samna Chahta Hun…
Zara Sa To Dil Hun Mgar Shokh Itna…
Wohi Lan Tarani Suna Chahta Hun…
Koi Dam Ka Mehman Hun Ae Ehl-E Mehfil…
Chiragh-S-Sehar Hun Bujha Chahta Hun…
Bhari Bazm Mein Raz Ki Bat Keh Di…
Barha Be Adb Hun Saza Chahta Hun…


****


Zindgi Insan Ki Ik Dam Ke Siwa Kuch Bhi Naheyn

Zindgi Insan Ki Ik Dam Ke Siwa Kuch Bhi Naheyn…
Dam Hawa Ki Moj He Ram Ke Siwa Kuch Bhi Naheyn…
Gul Tabusm Keh Raha Tha Zindgani Ko Mgar…
Shamaa Boli Gareya-E-Gham Ke Siwa Kuch Bhi Naheyn…
Raz-E-Hasti Raz He Jab Tak Koi Mehram Na Ho…
Khul Gya Jis Dam To Mehram Ke Siwa Kuch Bhi Naheyn…
Zayran-E-Kaaba Se Iqbal Yeh Puchy Koi…
Kya Haram Ka Tohfa Zamzam Ke Siwa Kuch Bhi Naheyn???



****


Muztreb Rakhta He Mera Dil-E-Betab Mujhe

Muztreb Rakhta He Mera Dil-E-Betab Mujhe…
Ain Hasti He Tarhap Surat Semab Mujhe…
Moj He Nam Mera Behar He Payab Mujhe…
Ho Nah Zanjer Kabhi Halqa-E-Gardab Mujhe…
Aab Mein Misal Hua Jata He To Sun Mera…
Khar-E-Mahi Se Nah Atka Kabhi Damn Mera…
Main Uchalti Hun Kabhi Jazb Meh-E-Kamal Se…
Josh Mein Sar Ko Patakti Hun Kabhi Sahal Se…
Hun Wo Rahru Keh Mohabat He Muje Manzil Se…
Keun Tarapti Hun Yeh Puche Koi Mere Dil Se…
Zehmat Tangi Dareya Se Gurezan Hun Main…
Wusat Behr Ki Furqat Mein Preshan Hun Main…



****


Har Lehzah He Momen Ki Nai Shan Nai Aan

Har Lehzah He Momen Ki Nai Shan Nai Aan…
Guftar Mein Kerdar Mein Allah Ki Burhan…
Qahari-O-Ghufari-O-Qudusi-O-Jabrut…
Yeh Char Anasr Hon To Banta He Musalman…
Hamsaeya-E-Jibrel-E-Amen Banda-E-Khaki…
He Is Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhsan…
Yeh Raz Kisi Koi Naheyn Malum Keh Momen…
Qari Nazar Ata He Haqeqat Mein He Quran…
Qudrat Ke Muqased Ka Aeyar Is Ke Irady…
Duneya Mein Bhi Mezan Qayamat Mein Bhi Mezan…

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho Wo Shabnam…
Dareyaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen Wo Taufan…
Allama Iqbal Allama Iqbal Reviewed by Muhammad Adnan on 5:28 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog