Qateel Shifai

Apne Honton Par Sajana Chahta Hun

Apne Honton Par Sajana Chahta Hun…
Aa Tujhe Main Gungnana Chahta Hun…
Koi Aansu Tere Daman Par Gira Kar…
Bund Ko Moti Bnana Chahta Hun…
Thak Gya Main Karte Karte Yad Tujh Ko…
Ab Tujhe Main Yad Ana Chahta Hun…
Sha Raha He Sari Basti Mein Andhera…
Roshni Ho Ghar Bnana Chahta Hun…
Akhri Hecki Tere Zanu Peh Aye…
Mot Bhi Main Shayrana Chahta Hun…


****





Pyas Woh Dil Ki Bujane Kabhi Aya Bhi Naheyn

Pyas Woh Dil Ki Bujane Kabhi Aya Bhi Naheyn…
Kaisa Badal He Jis Ka Koi Saya Bhi Naheyn…
Be Rukhi Is Se Barhi Or Bhla Kya Ho Gi…
Ik Mudat Se Humeyn Us Ne Staya Bhi Naheyn…
Roz Ata He Dar-E-Dil Peh Woh Dastak Dene…
Aj Tak Hum Ne Jise Pas Bulya Bhi Naheyn…
Sun Liya Kese Khuda Jane Zmane Bhar Ne…
Woh Fsana Jo Kabhi Hum Ne Sunaya Bhi Naheyn…
Tum To Shayr Ho Qateel Or Woh Ik Am Sa Shakhs…
Us Ne Chaha Bhi Tujhe Or Jtaya Bhi Naheyn…


****





Nigahon Mein Chamak Dil Mein Khushi Mehsus Karta Hun

Nigahon Mein Chamak Dil Mein Khushi Mehsus Karta Hun…
Keh Tere Bas Mein Apni Zindagi Mehsus Karta Hun…
Thaka Deti Hyn Jab Kaonain Ki Pahnaiyan Mujh Ko…
Tere Dar Par Pohnch Kar Tazgi Mehsus Karta Hun…
Ba Majburi Muqadar Ke Ufaq Se Jhankne Wale…
Teri Ankhon Mein Sharmindagi Mehsus Karta Hun…
Jawani Ko Saza-E-Lazat-E-Ehsas De Dena…
Main Is Had Par Khuda Ko Admi Mehsus Karta Hun…
Shab-E-Akhir Falak Par Tamtma Kar Dubte Tare…
Main Apne Sath Tera Dard Bhi Mehsus Karta Hun…
Qateel Ehbab Ko Deta Hun Tere Suluk Ki Zehmat…
Main Apne Dard Mein Jab Bhi Kami Mehsus Karta Hun…


****






Nigahon Mein Khumar Ata Hua Mehsus Hota He

Nigahon Mein Khumar Ata Hua Mehsus Hota He…
Tasawur Jam Chalakata Hua Mehsus Hota He…
Khiram-E-Naz Or Un Ka Khiram-E-Naz Kya Kehna…
Zamana Thokaren Khata Hua Mehsus Hota He…
Tasawur Ek Zehni Justuju Ka Nam He Shayad…
Dil Un Ko Dhund Kar Lata Hua Mehsus Hota He…
Kisi Ki Nuqrai Pazeb Ki Jhankar Ke Sadqe…
Mujhe Sara Jahan Gata Hua Mehsus Hota He…
Qateel Ab Dil Ki Dhadkan Ban Gai He Chap Qadmon Ki…
Koi Meri Taraf Ata Hua Mehsus Hota He…


****






Mil Kar Juda Hue Toh Nah Soya Karenge Hum

Mil Kar Juda Hue Toh Nah Soya Karenge Hum…
Ek Dusre Ki Yad Mein Roya Karenge Hum…
Ansu Chalak Chalak Keh Satayenge Rat Bhar…
Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum…
Jab Duriyon Ki Ag Dilon Ko Jalayegi…
Jismon Ko Chandni Mein Bhigoya Karenge Hum…
Ban Kar Har Ek Bazm Ka Mozu-E-Guftugu…
Sheron Mein Tere Ghum Ko Samoya Karenge Hum…
Majburiyon Ke Zehar Se Kar Lenge Khudkushi…
Yeh Buzdili Ka Jurm Bhi Goya Karenge Hum…
Dil Jal Raha He Zard Shajar Dekh Dekh Kar…
Ab Chahton Ke Bej Nah Boya Karenge Hum…
Gar De Geya Dagha Humeyn Tofan Bhi Qateel…
Sahil Peh Kashtiyon Ko Duboya Karenge Hum…


****






Meri Nazar Se Nah Ho Dur Ek Pal Ke Liye

Meri Nazar Se Nah Ho Dur Ek Pal Ke Liye…
Tera Wajud He Lazim Meri Ghazal Ke Liye…
Kahan Se Dhund Ke Laun Charagh Se Woh Badan…
Taras Gai Hyn Nigahen Kanwal Kanwal Ke Liye…
Kisi Kisi Ke Nasebon Mein Ishq Likha He…
Har Ek Dimagh Bhala Kab He Is Khalal Ke Liye…
Hui Nah Jurat-E-Guftar Toh Sabab Yeh Tha…
Mile Nah Lafz Tere Husn-E-Be-Badal Ke Liye…
Sada Jiye Yeh Mera Shehar-E-Bemisal Jahan…
Hazar Jhonparhe Girte Hyn Ek Mehal Ke Liye…
Qateel Zakhm Sehun Or Muskurata Rahun…
Bane Hyn Dayre Kya Kya Mere Amal Ke Liye…


****







Halat Ki Ujrhi Mehfil Mein Ab Koi Sulagta Saz Naheyn

Halat Ki Ujrhi Mehfil Mein Ab Koi Sulagta Saz Naheyn…
Naghme Toh Lapakte Hyn Lekin Sholon Sa Kaheyn Andaz Naheyn…
Har Barq-E-Hasen Ko Dete Hyn Zakhmon Ke Mehakte Nazrane…
Kanton Se Bada Is Gulshan Mein Phulon Ka Koi Dum-Saz Naheyn…
Ya Saya-E-Gul Ka He Yeh Karam Ya Farq He Dane Pani Ka…
Panchi Toh Wahi Hyn Gulshan Mein Pehli Si Magar Parwaz Naheyn…
Marqad Sa Bana He Khushbu Ka Munh Band Kali Ke Sene Mein…
Ey Sham-E-Gulistan Tu Hi Bata Yeh Bhi Toh Kisi Ka Raz Naheyn…
Chilke Na Subo Or Jhum Uthen Qatra Nah Mile Or Pyas Bujhe…
Yeh Zarf He Pene Walon Ka Saqi Ka Koi Eajaz Naheyn…
Ey Sehn-E-Chaman Ke Zindani Kar Jashn-E-Tarab Ki Tayari…
Bajte Hyn Baharon Ke Kangan Zanjer Ki Yeh Awaz Naheyn…


****






Woh Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Nah Kare

Woh Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Nah Kare…
Main Tujh Ko Bhul Keh Zinda Rahun Khuda Nah Kare…
Rahe Ga Sath Tera Pyar Zindagi Ban Kar…
Yeh Or Bat Meri Zindagi Wafa Nah Kare…
Yeh Thek He Naheyn Marta Koi Judai Mein…
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Nah Kare…
Agar Wafa Par Bharosa Rahe Nah Duniya Ko…
To Koi Shakhs Muhabat Ka Hosla Nah Kare…
Suna He Usko Muhabat Duaeyn Deti He…
Jo Dil Peh Chot To Khae Magar Gila Nah Kare…
Bujha Diya He Nasebon Ne Mere Pyar Ka Chand…
Koi Diya Meri Palkon Peh Ab Jala Nah Kare…

Zamana Dekh Chuka He Parakh Chuka He Usy…
Qateel Jan Se Jae Magar Ilteja Nah Kare…
Qateel Shifai Qateel Shifai Reviewed by Muhammad Adnan on 5:27 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog