Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

    Kash Main Tere Haseyn Hath Ka Kangan Hota


Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota



Kash Main Tere Haseyn Hath Ka Kangan Hota

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota…
Tu Barre Peyar Se Chao Se Barre Man Ke Sath…
Apni Nazuk Si Kalai Mein Charrhati Mujh Ko…
Or Be Tabi Se Furqat Ke Khizan Lamhon Mein…
Tu Kisi Soch Mein Dubi Jo Ghumati Mujh Ko…
Main Tere Hath Ki Khushbu Se Mehak Sa Jata…
Jab Kabhi Mud Mein A Kar Mujhe Chuma Karti…
Tere Honton Ki Main Hadat Se Dehak Sa Jata…
Rat Ko Jab Bhi Tu Nendon Ke Safar Par Jati…
Mar Mareyn Hath Ka Takeya Banaya Karti…
Main Tere Kan Se Lag Kar Kai Bateyn Karta…
Teri Zulfon Ko Tere Gal Ko Chuma Karta…
Jab Bhi Tu Band-E-Qaba Kholne Lagti Janan…
Apni Ankhon Ko Tere Husan Se Khaera Karta…
Mujh Ko Be Tab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha…
Main Teri Ruh Ke Gulshan Mein Mehakta Rehta…
Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta Rehta…
Kuch Naheyn To Yahi Be Nam Sa Bhandhan Hota…
Kash Main Tere Haseyn Hath Ka Kanghan Hota


****
Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota Reviewed by Muhammad Adnan on 4:53 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog