Mohsin Naqvi

Mera To Ranjeshaen Sari Mitane Ka Iradah Tha

Mera To Ranjeshaen Sari Mitane Ka Iradah Tha…
Gale Us Shakhs Ko Pher Se Lagane Ka Iradah Tha…
Chalo Acha Hua Us Ne Mujhe Sahil Se Hi Lota Dia…
Warnah Mera To Sari Kashteyan Jalane Ka Iradah Tha…
Macha Deti He Halchal Khaeylon Mein Teri Yadeyn…
Warnah Tujhe Is Dil Se Bhulane Ka Iradah Tha…
Barhi Minat Smajat Se Woh Mana He…
Jise Do Char Lafzon Mein Mnane Ka Iradah Tha…
Agar Weraan Shakhon Peh Parendon Ke Ghar Na Hote Mohsin…
To Ab Sukhe Darkhton Ko Jalane Ka Iradah Tha…

****




Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera Keun Bujh Gya Awargi

Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera Keun Bujh Gya Awargi…
Is Dasht Mein Ik Shehr Tha Wo Kya Huya Awargi…
Kal Shab Mujhe Be Shakal Ki Awaz Ne Chonka Dia…
Main Ne Kaha Tu Kon He Us Ne Kaha Awargi…
Logo Bhala Is Shehr Mein Kese Jiyen Gy Hum Jahan…
Ho Jurm Tanha Sochna Leken Saza Awargi…
Yeh Dard Ki Tanhaeyan Yeh Dasht Ka Veran Safar…
Hum Log To Ukta Gay Apna Suna Awargi…
Ik Ajnabi Jhonke Ne Jab Pucha Mere Gham Ka Sabab…
Sehra Ki Bhegi Ret Par Main Ne Likha Awargi…
Is Simat Wehshi Khwaheshon Ke Zad Mein Paiman Wafa…
Is Simat Lehron Ki Dhamak Kacha Garha Awargi…
Kal Rat Tanha Chand Ko Dekha Tha Main Ne Khwab Mein…
Mohsin Mujhe Ras Aae Gi Shayad Sada Awargi…


****




Ik Diya Dil Mein Jlana Bhi Bhuja Bhi Dena

Ik Diya Dil Mein Jlana Bhi Bhuja Bhi Dena…
Yad Karna Bhi Usy Roz Bhula Bhi Dena…
Kya Kahun Yeh Meri Chahat He Keh Nafrat Us Ki…
Nam Lekhna Bhi Mera Lekh Ke Mita Bhi Dena…
Pher Nah Melne Ko Becharta To Hun Tujh Se Lekin…
Murh Ke Dekhun To Paltne Ki Dua Bhi Dena…
Khat Bhi Lekhna Usy Mayus Bhi Rehna Us Se…
Jurm Karna Bhi Magar Khud Ko Saza Bhi Dena…
Mujh Ko Rasmon Ka Tasawur Bhi Gwara Leken…
Ji Mein Aae To Yeh Dewar Gira Bhi Dena…
Usi Se Mansub Bhi Kar Lena Purane Qesy…
Us Ke Balon Mein Naya Phul Saja Bhi Dena…
Surat Naqsh-E-Qadam Dasht Mein Rehna Mohsin…
Apne Hone Se Na Hone Ka Pta Bhi Dena…


****




Hum Ko Malum He Anjam Humara Murshad

Hum Ko Malum He Anjam Humara Murshad…
Is Samandar Ka Naheyn Koi Kinara Murshad…

Hum Hi Aae Ishq Tere Paon Parry The Aa Kar…
Dosh Ab Is Mein Naheyn Koi Tumhara Murshad…

Ab To Jo Kuch He Shab-E-Hijr Tere Hath Mein He…
Khak Kar De Ya Bana De Mujhe Tara Murshad…

Main Agar Dasht Naheyn Dasht Numa Ban Jaun…
Is Se Kam Par Naheyn Hona Guzara Murshad…

Dasht Ki Khak Urrany Peh Hua Hun Mamur…
Koi Tambeh Mujhe Koi Ishara Murshad…

Yehi Kafi He Tera Hijr Nazar Ata He…
Is Ki Tadfen Nahi Hum Ko Gawara Murshad…

Aj Samjha Hun Mohabat Ki Kahani Mohsin…
Aj Samjha Hun Kise Kehte Hyn Khasara Murshad…


****




Jab Se Us Ne Shehr Ko Chorra Har Rasta Sunsan Hua

Jab Se Us Ne Shehr Ko Chorra Har Rasta Sunsan Hua…
Apna Kya He Sare Shehr Ka Ik Jese Nuqsan Hua…
Sehra Ki Munh Zor Hwaeyn Oron Se Mansub Hueyn…
Muft Mein Hum Awara Thehray Muft Mein Ghar Sunsan Hua…
Mere Hal Peh Yeh Hairat Kesi Dard Ke Tanha Mosam Mein…
Pathar Bhi Ro Parhte Hyn Insan To Phir Insan Hua…
Yun Bhi Kam Amez He Mohsin Woh Is Shehr Ke Logon Se…
Lekin Mere Samny Aa Kar Or Bhi Kuch Anjan Hoa…


****




Bazaher Log Kitne Mehrban The

Bazaher Log Kitne Mehrban The…
Magar Dukh Bantne Wale Kahan The…
Labon Par Muskrahat Ki Dhanak Thi…
Lahu Lathre Sukhan Zer-E-Zuban The…
Jo Manzel Ashna The Wo Musafir…
Pas-E-Khak-E-Ghubar-E-Karvan The…
Main Aise Shehr Ka Basi Bana Hun…
Maken Pathr The Sheshe K Makan The…
Jala Jab Asheyan To Hum Ne Jana…
Keh Tenke Bhi Hawa Ke Razdan The…
Kisi Ne Hal Tak Pucha Na Mohsin…
Hum Ehl-E-Dil Bhi Ketne Rayegan The…


Mohsin Naqvi Mohsin Naqvi Reviewed by Muhammad Adnan on 5:28 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog