Faiz Ahmad Faiz

Na Jane Kis Liye Umedwar Betha Hun….
Ik Aesi Rah Pe Jo Teri Rah Guzar Bhi Naheyn….

****

Sham-E Firaq Ab Na Puch Ai Or A Ke Tal Gai….
Dil Tha Keh Phir Behal Gya Jan Thi Ke Phir Sambhal Gai….

****

Uth Kar To A Gay Hyn Teri Bazm Se Magar….
Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aye Hyn….

****

Jurty Huy Dekha Naheyn Toty Hoy Dil Ko….
Gir Jayen Jo Ansu To Uthaye Naheyn Jatay….

****

Woh A Rahe Hyn Woh Ate Hyn A Rahe Hon Ge….
Shab-E-Firaaq Ye Keh Kar Guzar Di Hum Ne….

****

Ik Tarz-E-Taghaful He So Woh Un Ko Mubarak….
Ik Arz-E-Tamana He So Hum Karte Raheyn Ge….

****

Unheyn Apne Dil Ki Khabreyn Mere Dil Se Mil Rahi Hyn….
Main Jo Un Se Ruth Jaon To Payam Tak Na Pohanche….

****

Qubul Kaise Karun Un Ka Faisla Ke Yeh Log….
Mere Khilaf Hi Mera Bayan Mangte Hyn….

****

Woh Tute Huy Rishton Ka Husn-E-Akhir Tha….
Ke Chup Si Lag Gai Donon Ko Bat Karte Huy….

****

Tu Kahani Hi Ke Parde Mein Bhali Lagti He….
Zindgi Teri Haqeqat Naheyn Dekhi Jati….

****

Paida Woh Bat Kar Ke Tujhe Royen Dusre….
Rona Khud Apne Hal Pe Yeh Zar Zar Kya….

****

Insaf Ke Parde Mein Ye Kya Zulm He Yaro….
Dete Ho Saza Or Khata Or Hi Kuch He….

****

Tujh Se Milne Ko Beqarar Tha Dil….
Tujh Se Mil Kar Bhi Beqarar Raha….

****

Woh Zehr Deta To Sab Ki Nigahon Main A Jata….
So Yeh Kia Ke Mujhe Waqt Pe Dawayen Na Deen….

****

Chahiy Khud Pe Yaqen-E-Kamil….
Hosla Kis Ka Barrhata Hai Koi….

****

Chala Tha Zikr Zamane Ki Bewafai Ka….
So A Geya He Tumhara Khayal Wese Hi….



Faiz Ahmad Faiz Faiz Ahmad Faiz Reviewed by Muhammad Adnan on 5:29 pm Rating: 5

No comments:

LightBlog